Love and Gratitude :)

Contributor: Bhatti Priyanka, Changeagent from LTC Spring 2013


Is safar me kuch khas hai,
Anjana ek ehsas hai
Najane ab milenge kab,
Fir bhi dil me aas hai.

Pyar jo barsaya isne,
Pyar jo dikhaya sabne,
Pyaar se hi duniya kayam,
Khub ye samjhaya isne.

Mili dishaey raaho ko,
Ummeed se bhara jeevan,
Dar mat, aage badh,
Dikhaya sabko ye darpan

Bikhri hui zindagiyo ko
Apnepan se sawara isne
Bhed bhav kiye bagair
Ek naya insan bnaya isne

Sangharsh kiya na, to kya kiya
Khub ghudkaya tha isne
Par har chunauti ke aage jeet hai,
Sahi maayino me batlaya isne.

Aaya fir dukho ka pehlu
Khoya bharosa khud par se
Khot mujhi me kyu hain itne
Kyu na mai sab  jaanu samjhu

Aage hai jeevan apna,
Kyu dekhe tu ulta rasta
Aankhein kyu aage ki or
Samajh tu devo ki ye rachna

Har kadam pe diya sath
Girakar hai uthaya isne
Gyan se agyan, fir agyan se gyan
Yu Prakash ki or, le jaya isne


Ant sabhi ka hota hai
Satya hai ye sansar ka
Par ye kahani khatm hai
Ya naya prakram samaj ka

Khud hi me hain hal sare
Hua hme ye abhas hai
Dekh zara tu fir mudkar,
Ye safar zarur kuch khas hai!

And yes, YA and LTC are indeed pyaaaaaaaaaaar! :’) 


Comments